बेचैन दिल को मेरे अब तो करार आए
तैबा से मेरे आका अब तो बुलावा आए
कहे मुझसे ये मुसाफ़िर, ज़रा अपना दिल संभालो
वो देखो सब्ज़ गुम्बद हमको नज़र तो आए
वो नूर नूर गुम्बद, वो सुनहरी जालियाँ भी
तेरी रहमतों के साये हम भी कभी तो आए
मैं चलूँ दर-ए-नबी पर, हो बेकरार दिल यूँ
मेरे अश्क दे सलामी, सर झुकता यूँ ही जाए
रिमझिम बरसती बरखा, मेरे दिल की है वो अरमाँ
वो महकती ख़ाक जिसकी आँखों में ही समाए
काश ज़िन्दगी मुझे भी, ले चले मदीना जल्दी
बेकरार ज़िन्दगी में फिर आका बहार आए
थामूँ सुनहरी जाली, हो साँस मेरी धीमी
दीदार-ए-मुस्तफ़ा ﷺ हो, और मौत मुझको आए
ऐ नदीम तुझ सा कोई निकम्मा नहीं है लेकिन
आका करीम तेरा महशर में वही आए
Bechain dil ko mere ab toh karar aaye
Taiba se mere Aaqa ab toh bulawa aaye
Kahe mujhse ye musafir, zara apna dil sambhalo
Wo dekho sabz gumbad humko nazar toh aaye
Wo noor noor gumbad, wo sunehri jaliya bhi
Teri rehmaton ke saaye hum bhi kabhi toh aaye
Main chalun dar-e-Nabi par, ho beqarar dil yun
Mere ashq de salaami, sar jhukta yun hi jaaye
Rim jhim barasti barkha, mere dil ki hai wo armaa’n
Wo mehek ti khaak jiski aankhon mein he samaaye
Kaash zindagi mujhe bhi, le chale Madina jaldi
Bekarar zindagi mein phir Aaqa bahaar aaye
Thamu’n sunehri jali, ho saans meri dheemi
Deedar-e-Mustafa ﷺ ho, aur maut mujhko aaye
Aye Nadeem tujh sa koi nikamma nahi hai lekin
Aaqa Kareem tera mehshar mein woh hi aaye
