काबा दिखा दे मौला / Kaba Dikha De Maula Lyrics

उम्र बची है मेरी कहाँ
मर ही न जाऊँ, मौला यहाँ

कभी गिर्द का’बे के मैं भी तो घूमूँ
कभी मैं भी का’बे की चादर को चूमूँ
मुझे भी दिखा दे, ख़ुदाया हरम वो
बरसती है रहमत की बारिश जहाँ

कभी संग-ए-असवद का बोसा अता हो
कि मरने से पहले ख़त्म हर ख़ता हो
तमन्ना मेरे रब ये पूरी तू कर दे
इसी जुस्तुजू में हूँ जीता यहाँ

मैं अक्सर ही यादों में का’बे को पहुँचा
मैं कितना हूँ तड़पा, मैं कितना हूँ रोया
है बेचैन मौला ये दिल मेरा कितना
करूँ कैसे मैं ये लबों से बयाँ

कई हो के आए हैं देखो वहाँ से
कि मैं सिर्फ जा ही न पाया यहाँ से
ज़ियारत हरम की है कितनों ने कर ली
तेरी अब निगाह-ए-करम हो यहाँ

कई लोग जाते हैं ऐसे हरम को
कि जैसे हरम हो क़दम दो क़दम को
बड़ा खूब उनका मुक़द्दर है मौला
ये औक़ात वैसी है मेरी कहाँ

कि का’बे की रौनक को मैं भी तो देखूँ
दिखा मुझको का’बा मेरे प्यारे मौला
कि मुझको लगी ये लगन मेरे मौला
कि चूमूँ मैं हज्र-ए-असवद वहाँ

सुना है वहाँ पर कि हज हो रहा है
ये परवान सुनकर यहाँ रो रहा है
बुला ले ख़ुदाया इसे भी हरम में
लगी आग दिल की बुझा दे वहाँ


Umr bachi hai meri kahaan
Mar hi na jaaun, Maula yahaan

Kabhi gird Kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi main bhi Kaabe ki chaadar ko choomun
Mujhe bhi dikha de, Khudaya haram wo
Barasti hai rehmat ki baarish jahaan

Kabhi Sang-e-Aswad ka bosa ata ho
Ki marne se pehle khatam har khata ho
Tamanna mere Rab ye poori tu kar de
Isi justuju mein hoon jeeta yahaan

Main aksar hi yaadon mein Kaabe ko pahuncha
Main kitna hoon tadpa, main kitna hoon roya
Hai bechain Maula ye dil mera kitna
Karun kaise main ye labon se bayaan

Kai ho ke aaye hain dekho wahaan se
Ki main sirf ja hi na paaya yahaan se
Ziyaarat haram ki hai kitnon ne kar li
Teri ab nigaah-e-karam ho yahaan

Kai log jaate hain aise haram ko
Ki jaise haram ho qadam do qadam ko
Bada khoob unka muqaddar hai Maula
Ye auqaat waisi hai meri kahaan

Ki Kaabe ki raunaq ko main bhi to dekhun
Dikha mujhko Kaaba mere pyaare Maula
Ki mujhko lagi ye lagan mere Maula
Ki choomun main Hajr-e-Aswad wahaan

Suna hai wahaan par ki Hajj ho raha hai
Ye Parwan sunkar yahaan ro raha hai
Bula le Khudaya ise bhi haram mein
Lagi aag dil ki bujha de wahaan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top