सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है / Sare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics

सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है
आप आए तो ज़माने में बहार आई है

खुश्बू बन के जो मेरे दिल में उतर आई है
वो तेरी याद है, अब रूह समझ पाई है

रूह जब वादी-ए-पुरदर्द में घबराई है
उम्मती उम्मती आका की सदा आई है

आँख के तिल में है महफ़ूज़ जमाल-ए-ख़ज़रा
जैसे जन्नत मेरी नज़रों में सिमट आई है

ज़ात-ए-सरकार है नूरानी सहीफ़ों की दलील
यानी क़ुरआन से पहले ये किताब आई है

हर जगह मेरे लिए सब ने बिछाई आँखें
हर जगह तेरी ही निस्बत मेरे काम आई है

कोई मुश्किल हो, कोई ग़म हो, करो ज़िक्र-ए-हबीब
ये दवा वो है जो हर दौर में काम आई है

मरने वाले की खुली आँख खुली रहने दो
वो नज़र जल्वा-ए-आका की तमन्नाई है

जब तबीयत ग़म-ए-तन्हाई से घबराई है
हम तेरे साथ हैं, ये उनकी सदा आई है

सारी दुनिया की निगाहों से गिरा है बेदम
तब कहीं जा के तेरे दिल में जगह पाई है

सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है
आप आए तो ज़माने में बहार आई है


Saare aalam mein mohabbat ki ghata chhaayi hai
Aap aaye to zamane mein bahaar aayi hai

khushboo Ban ke jo mere dil mein utar aayi hai
Wo teri yaad hai, ab rooh samajh paayi hai

Rooh jab waadi-e-purdard mein ghabraayi hai
Ummati ummati Aaqa ki sada aayi hai

Aankh ke til mein hai mehfooz jamaal-e-khazra
Jaise jannat meri nazron mein simat aayi hai

Zaat-e-Sarkar hai noorani saheefon ki daleel
Yaani Qur’an se pehle ye kitaab aayi hai

Har jagah mere liye sab ne bichhaayi aankhen
Har jagah teri hi nisbat mere kaam aayi hai

Koi mushkil ho, koi gham ho, karo zikr-e-Habeeb
Ye dawa wo hai jo har daur mein kaam aayi hai

Marne wale ki khuli aankh khuli rehne do
Wo nazar jalwa-e-Aaqa ki tamannaai hai

Jab tabiyat gham-e-tanhaai se ghabraayi hai
Hum tere saath hain, ye unki sada aayi hai

Saari duniya ki nigahon se gira hai Bedam
Tab kahin jaa ke tere dil mein jagah paayi hai

Saare aalam mein mohabbat ki ghata chhaayi hai
Aap aaye to zamane mein bahaar aayi hai


POET- BEDAM SHAH WARSI

सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है / Sare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhayi Hai Lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top