Meri Ulfat Madine Se ek bahut hi khoobsurat naat hai jo Madina se mohabbat aur Nabi ﷺ ke roza ki azmat ko bayan karti hai.
Yahan aapko is naat ke complete lyrics Hindi aur Hinglish mein milenge, padhne aur share kare.
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं
मेरे आका का रौज़ा मदीने में है
मैं मदीने की जानिब न कैसे खिंचूँ
मेरा दीन और दुनिया मदीने में है
अर्श-ए-आज़म से जिसकी बड़ी शान है
रौज़ा-ए-मुस्तफ़ा जिसकी पहचान है
जिस का हम-पल्ला कोई मुहल्ला नहीं
एक ऐसा मुहल्ला मदीने में है
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं…
फिर मुझे मौत का कोई ख़तरा न हो
मौत क्या ज़िन्दगी की भी परवाह न हो
काश! सरकार इक बार मुझ से कहें
अब तेरा जीना-मरना मदीने में है
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं…
सरवर-ए-दो-जहाँ से दुआ है मेरी
हाँ! ब-दो-चश्म-ए-तर इल्तिजा है मेरी
उनकी फ़ेहरिस्त में मेरा भी नाम हो
जिनका रोज़ आना-जाना मदीने में है
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं…
जब नज़र सू-ए-तयबा रवाना हुई
साथ दिल भी गया, साथ जान भी गई
मैं, मुनीर! अब रहूँगा यहाँ किस लिए?
मेरा सारा असासा मदीने में है
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं…
Meri ulfat Madine se yun hi nahin
Mere Aaqa ka roza Madine mein hai
Main Madine ki jaanib na kaise khinchun
Mera deen aur duniya Madine mein hai
Arsh-e-aazam se jis ki badi shaan hai
Roza-e-Mustafa jis ki pehchaan hai
Jis ka ham-palla koi muhalla nahin
Ek aisa muhalla Madine mein hai
Meri ulfat Madine se yun hi nahin…
Phir mujhe maut ka koi khatra na ho
Maut kya zindagi ki bhi parwa na ho
Kaash! Sarkar ik baar mujh se kahen
Ab tera jeena-marna Madine mein hai
Meri ulfat Madine se yun hi nahin…
Sarwar-e-do-jahaan se dua hai meri
Haan! ba-do-chashm-e-tar iltija hai meri
Un ki fehrist mein mera bhi naam ho
Jin ka roz aana-jaana Madine mein hai
Meri ulfat Madine se yun hi nahin…
Jab nazar soo-e-Tayba rawana hui
Saath dil bhi gaya, saath jaan bhi gayi
Main, Muneer! ab rahunga yahan kis liye?
Mera saara asasa Madine mein hai
Meri ulfat Madine se yun hi nahin…
शायर: मुनीर क़सूरी (Muneer Qasoori)
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं / Meri Ulfat Madine Se Yunhi Nahi Lyrics
meri ulfat madine se lyrics
madina naat lyrics hindi
naat lyrics hindi
islamic naat lyrics
naat shareef lyrics
hinglish naat lyrics
madina lyrics
meri ulfat madine se naat
naat lyrics english
beautiful naat lyrics
madina naat hinglish
naat sharif full lyrics
islamic lyrics hindi
