दिल उल्फ़त-ए-सरकार बसाने के लिए है
जाँ आप की हुर्मत पे लुटाने के लिए है
दिल कहने लगा करते ही रौज़े का नज़ारा
ये नक़्श तो आँखों में सजाने के लिए है
कितनी बड़ी ने’मत है ये आका का वसीला
बंदों को जो मौला से मिलाने के लिए है
आती है जो आँखों में नमी ना’त से पहले
ये मदह के आदाब सिखाने के लिए है
पैग़ाम सुनाती है यही आयत-ए-ततहीर
इज़्ज़त मेरे आका के घराने के लिए है
हम उम्मती उनके हैं तो कैसे रहें महरूम
जब उनका करम सारे ज़माने के लिए है
सरवर! जो बुलावा नहीं आया कई दिन से
ये तेरी तलब और बढ़ाने के लिए है
Dil ulfat-e-Sarkar basaane ke liye hai
Jaan aap ki hurmat pe lutaane ke liye hai
Dil kehne laga karte hi Roze ka nazaara
Ye naqsh to aankhon mein sajaane ke liye hai
Kitni badi ne’mat hai ye Aaqa ka waseela
Bandon ko jo Maula se milaane ke liye hai
Aati hai jo aankhon mein nami naat se pehle
Ye madh ke adaab sikhaane ke liye hai
Paighaam sunaati hai yahi Aayat-e-Tatheer
Izzat mere Aaqa ke gharaane ke liye hai
Hum ummati unke hain to kaise rahein mehroom
Jab unka karam saare zamaane ke liye hai
Sarwar! jo bulaawa nahin aaya kai din se
Ye teri talab aur badhaane ke liye hai
Poet: Sarwar Hussain Naqshbandi
