हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो / Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Lyrics

हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो नात लिरिक्स

हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो
और याद मुहम्मद की मेरे दिल में बसी हो

ऐ काश ! तसव्वुर में मदीने की गली हो
और याद-ए-मुहम्मद भी मेरे दिल में बसी हो

दो सोज़-ए-बिलाल, आक़ा! मिले दर्द रज़ा सा
सरकार! अता इश्क़-ए-उवैस-ए-क़रनी हो

ऐ काश! मैं बन जाऊँ मदीने का मुसाफ़िर
फिर रोती हुई तयबा को बारात चली हो

ऐ काश! मदीने में मुझे मौत यूँ आए
चौखट पे तेरी सर हो, मेरी रूह चली हो

जब ले के चलो गोर-ए-ग़रीबाँ को जनाज़ा
कुछ ख़ाक मदीने की मेरे मुँह पे सजी हो

जिस वक़्त नकीरैन मेरी क़ब्र में आएँ
उस वक़्त मेरे लब पे सजी ना’त-ए-नबी हो

आक़ा का गदा हूँ, ऐ जहन्नम! तू भी सुन ले
वो कैसे जले जो कि ग़ुलाम-ए-मदनी हो

आक़ा की शफ़ाअत से तो जन्नत ही मिलेगी
ऐ काश! कि क़दमों में जगह उन के मिली हो

अल्लाह की रहमत से तो जन्नत ही मिलेगी
ऐ काश! महल्ले में जगह उन के मिली हो

अल्लाह करम ऐसा करे तुझ पे जहाँ में
ऐ दावत-ए-इस्लामी! तेरी धूम मची हो

अत्तार हमारा है, सर-ए-हश्र इसे काश!
दस्त-ए-शह-ए-बतहा से यही चिठ्ठी मिली हो


Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Lyrics

Har waqt tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammad ki mere dil mein basi ho

Ae kaash! tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad-e-Muhammad bhi mere dil mein basi ho

Do soz-e-Bilal, Aaqa! mile dard Raza sa
Sarkar! ata ishq-e-Uwais-e-Qarani ho

Ae kaash! main ban jaaun Madine ka musaafir
Phir roti hui Tayba ko baraat chali ho

Ae kaash! Madine mein mujhe maut yun aaye
Chaukhat pe teri sar ho, meri rooh chali ho

Jab le ke chalo gor-e-ghareeban ko janaaza
Kuch khaak Madine ki mere moonh pe saji ho

Jis waqt Nakeerain meri qabr mein aayein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

Aaqa ka gada hoon, ae Jahannam! tu bhi sun le
Wo kaise jale jo ki ghulaam-e-Madani ho

Aaqa ki shafa’at se to Jannat hi milegi
Ae kaash! ki qadmon mein jagah un ke mili ho

Allah ki rehmat se to Jannat hi milegi
Ae kaash! mahalle mein jagah un ke mili ho

Allah karam aisa kare tujh pe jahaan mein
Ae Dawat-e-Islami! teri dhoom machi ho

Attar hamaara hai, sar-e-hashr ise kaash!
Dast-e-Shah-e-Batha se yahi chitthi mili ho

Poet: Muhammad Ilyas Attar Qadri


हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो / Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Lyrics

naat lyrics

naat sharif lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top