फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला / Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala Lyrics
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला,
वो हुसैन इब्ने-अली
पैकरे-सब्रो-रज़ा बादशाहे-कर्बला,
वो हुसैन इब्ने-अली
कौन है सरदारे-जन्नत किस के नाना हैं नबी
किस की माँ है फ़ातिमा भाई हसन बाबा अली
लाए थे किस के लिए जिब्रील कपड़े जन्नती
वो हुसैन इब्ने-अली
है मेरी आँखों की ठंडक है मेरे इस दिल का चैन
मैं हुसैन इब्ने-अली से हूँ तो मुझ से है हुसैन
ज़ालिमों क्या भूल बैठे ये हदीसे-पाक भी
वो हुसैन इब्ने-अली
सज्दे को लम्बा करें सरकार जिन के वास्ते
जिन को काँधों पर बिठा कर तय कराएँ रास्ते
चूमते रहते हों जिन को हर घड़ी प्यारे नबी
वो हुसैन इब्ने-अली
अपने नाना का मदीना माँ की तुर्बत छोड़ दी
एक वा’दे के लिए जीने की चाहत छोड़ दी
आज तक उन की तरह आया न आएगा कोई
वो हुसैन इब्ने-अली
जिन के बाज़ूओं की ताक़त हो अली शेरे-ख़ुदा
कर गई हो परवरिश जिन की जनाबे-फ़ातिमा
कौन उन से छीन पाए ज़ुल्फ़िक़ारे-हैदरी
वो हुसैन इब्ने-अली
हँस के अकबर की जवानी को लुटा कर दीन पर
कर के क़ुर्बां गोद में छेह माह का नन्हा जिगर
दीने-पाके-मुस्तफ़ा को दे रहे हैं ज़िंदगी, वो: हुसैन इब्ने-अली
वो हुसैन इब्ने-अली
जिन के बाज़ूओं की ताक़त हो अली शेरे-ख़ुदा
कर गई हो परवरिश जिन की जनाबे-फ़ातिमा
ताहिर उन के हौसलों पर है फ़िदा ख़ुद मौत भी
वो हुसैन इब्ने-अली
Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala,
Wo Husain Ibne-Ali
Paikar-e-Sabr-o-Raza, Badshah-e-Karbala,
Wo Husain Ibne-Ali
Kaun hai Sardar-e-Jannat, kis ke nana hain Nabi
Kis ki maa hai Fatima, bhai Hasan, baba Ali
Laye the kis ke liye Jibraeel kapde jannati
Wo Husain Ibne-Ali
Hai meri aankhon ki thandak, hai mere is dil ka chain
Main Husain Ibne-Ali se hun, to mujh se hai Husain
Zalimon! kya bhool baithe ye Hadees-e-Paak bhi
Wo Husain Ibne-Ali
Sajde ko lamba karein Sarkar jin ke waste
Jin ko kandhon par bithakar tay karaaye raste
Choomte rehte hon jin ko har ghadi pyaare Nabi
Wo Husain Ibne-Ali
Apne nana ka Madina, maa ki turbat chhod di
Ek waade ke liye jeene ki chahat chhod di
Aaj tak un ki tarah aaya na aayega koi
Wo Husain Ibne-Ali
Jin ke bazuon ki taqat ho Ali Sher-e-Khuda
Kar gayi ho parwarish jin ki Janab-e-Fatima
Kaun un se cheen paaye Zulfiqar-e-Haidari
Wo Husain Ibne-Ali
Hans ke Akbar ki jawani ko luta kar deen par
Kar ke qurban god mein chhah maah ka nanha jigar
Deen-e-Paak-e-Mustafa ko de rahe hain zindagi
Wo Husain Ibne-Ali
Jin ke bazuon ki taqat ho Ali Sher-e-Khuda
Kar gayi ho parwarish jin ki Janab-e-Fatima
Tahir! un ke hauslon par hai fida khud maut bhi
Wo Husain Ibne-Ali
