जो कोई गम सताए तो
मदीना याद कर लेना
न दिल को चैन आए तो
मदीना याद कर लेना
सहारा बे सहारों का
मदावा गम के मारो का
न कोई काम आए तो
मदीना याद कर लेना
कभी अश्कों की बोली भी
खमोशि में बदल जाए
और दिल आंसू बहाए तो
मदीना याद कर लेना
हवाएं भी मुखालिफ हो
हो दरिया में भी तुग्यानी
और कश्ती डूब जाए तो
मदीना याद कर लेना
कभी जो सांस बिखरी हो
कभी धड़कन जो उल्जी हो
न दिल भी जो संभल पाए तो
मदीना याद कर लेना
अमूमन जिंदगी में दुख
के दिन आ ही जाते हैं
कभी लम्हा यह आया तो
मदीना याद कर लेना
सुना है मुश्किलों में साथ
कोई भी नहीं चलता
जमाना छोड़ जाए तो
मदीना याद कर लेना
मुसीबत में तो हर कोई
उन्हीं को याद करता है
खुशी अहमद जो आए तो
मदीना याद कर लेना
Jo koi gham sataaye to
Madina yaad kar lena
Na dil ko chain aaye to
Madina yaad kar lena
Sahara be-saharon ka
Madaawa gham ke maaron ka
Na koi kaam aaye to
Madina yaad kar lena
Kabhi ashkon ki boli bhi
Khamoshi mein badal jaaye
Aur dil aansu bahaaye to
Madina yaad kar lena
Hawaayein bhi mukhaalif hon
Ho dariya mein bhi tughyani
Aur kashti doob jaaye to
Madina yaad kar lena
Kabhi jo saans bikhri ho
Kabhi dhadkan jo uljhi ho
Na dil bhi jo sambhal paaye to
Madina yaad kar lena
Aamuman zindagi mein dukh
Ke din aa hi jaate hain
Kabhi lamha ye aaya to
Madina yaad kar lena
Suna hai mushkilon mein saath
Koi bhi nahin chalta
Zamana chhod jaaye to
Madina yaad kar lena
Museebat mein to har koi
Unhi ko yaad karta hai
Khushi Ahmad jo aaye to
Madina yaad kar lena
जो कोई ग़म सताए तो मदीना याद कर लेना / Jo Koi Gham Sataye To Madina Yaad Kar Lena Lyrics
